Dekho bhai pehle to rishta lagnaich badi lambi kahani rehti.chalo shuru
karinge....
pehle rasam hota (hau hamare hyderabad mein engagement ku rasam bolte)
aur shadi ki tareeq tai hoti.
ek paumes ka rasam bolke bi hota , isme maal idhar ka udhar hota.
finally shaadi se 5 din pehle manje bithate,ghar mein mandak (mandap)
baandhte. ladka ya ladki jo bhi ho unku peelay kapde pinake, haldi se
lep lagate ek ke baad ek rishtedaaran. phir gulposhi hoti dula/dulan ki,
phir unke ammi abba ki , aur sab logan kapde banate.
shaadi ka ghar bole to sab rishtedaaran aajate rehne ke liye, ya nai to
har din kai na kai se khana aata. phir shaadi se ek din pehle saanchak
mehendi hoti, agar ekich raat mein hui to bada mazaa aata.
saanchak mein dule waale dulan ke ghar aate, gulposhi karte aur dulan ku
kapde bi dete shayad. in between thode buddiyan nuqs nikaalte har kaam
mein!
dule waale jateich dulan waale nikalte (after giving full time to the
ladies to change into another set of clothes!!), kashtiyan idar se udar
hote!! dule ki gulposhi karte saaliyan, saale side mein thairke bakwaas
karte. ye time dula bhot demand dikhata aur satata sabku, bhot mazaa
aata, phir finally angoothi pehenne ke baad paise deta saale saaliyon
ku. ek aur mauqa miltea apne buddiyon ku pukara karne ka!!
phir dusre din johai shadi hoti, ladki wale pure intezaamon mein lageve
rehte, zanana dulan ku tayyar karta aur beauty parlour mein aade se
zyaada din nikal jaata. dule wale ki side bi yeich kahani, apna dula
bichara ek ghante mein tayyar hojaata.
bade buzrukan jaldi karo jaldi karo bolte rehte ..."qazi saab aake chale
gaye to phir pakad ke laana mushkil rehta isliye jaldi karna"
Nikah hota, agar khana hai to dinner shuru hota aur dula bichara galle
milte milte thak jaata, dulhan baithe baithe thak jaati. sab mehmaana
jaane ke baad, khali rishtedaaran rehte jab jalwa hota, pehli baar dula
dulan bazu baithte, phir vidaai hoti [Crying or Very sad]
dusre din valima hota, ye ladke waale karte..aur phir paanch jumaagiyan
hote.
mereku jitta malum bola...aaplogon ku aur malum hai to bolo.
--- End forwarded message ---
No comments:
Post a Comment